Fri. Sep 13th, 2024

     Injeer ke fawaid

    Injeer ke fawaid

    Injeer ke fawaid

    Salam dosto kaise hain aap sab umeed karta ho ke kheryat se hongi dosti aaj main aapko bataunga us phal ke bari main jisko jannat ka phal kaha jata ha ji dosto aapne sahi suna injeer hi wo phal hai jisko jannat ka phal kaha jata ha aj ke is article main aap ko batao ga injeer ke fawaid ke bare main umeed karta ho aplod mera yeh article pasand aayega bas aap isko akhir tak parhi ga apke liye bahut helpful hoga 


    1 Hadiyon ko mazboot karta ha 

    Dosto injeer main bohat ziyada miqdar main calcium aur magnesium milta jis ke wajah se hamari hadiyan mazboot hoti hain injeer ke rozana istemal karni se hamari hadiyan mazboot hoti hain 


    2 hazmi ko dursat karta hay 

    Injeer main bohat ziyada miqdar main fiber milta ha jiske wajah yeh hamare hazmi ke nizam ko dursat karta ha peet ko bilkul saaf rakhte hai agar aap apna hazma dursat rakhna chahte hen to injeer ke 3 ya 5 adad raat ko pani mn rakh kar subha sawari istemal karn to apki hazmi ka system thik ho jaye ga

    3 wazan kam karta ha 

    Jaisa maine apno bataya ke injeer main bohat hai zyada miqdar mein fiber milta hai jo wazan kam karne mn madad karta hai agar aap bhi apna wazan kam karna chahte hen to aap bhe injeer ko rozana istamal karna shuro kr dejya jald hi aap apni wazan main kami mehsoos karn gi.

    4 cancer ke khatre ko kam karta ha 

    Injeer main flavonoids or antioxidants paye jate hain jo cancer ke khatre ko kam ya khatam kar dete hain iske regular istemal se cancer ka khatra kam ho jata ha to dosto isko aap zaror apni roz marah ki giza main shamil kr dain.

    5 Blood pressure control main rakhta ha 


    Jin logon ko blood pressure ka masla rehta hai wo log bhi injeer ka istemal zaror karn kiyun ke injeer main bohat zyada miqdar main potassium milta hai jo hypertension ke masle ko kam karta ha jis ke wajah se yeh blood pressure main bohat hi mufeed ha blood pressure wali patients bhe isko istemal kar ke apna blood pressure maintain kar sakte hain.

    6 qot e mudafiat barhata ha

    Bohat ziyada miqdar mein antioxidants vitamins or minerals Milne ki wajah se injeer hamare qot e mudafiat ke bohat bara ta hai jiski wajah se apno bimariyon lagne ka khera bahut hi kam ho jata ha aur hum apna healthy lifestyle main kr sakte bas isko rozana apni giza ha hisa bana krna sharo kr dain.


    7 Insulin ko control mein rakhta hai


    Potassium or magnesium bohat zyada miqdar main honi ko wajah se yeh insulin release  to stable rakhta hai jiski wajah se yeh sugar ke patient ke liye bohat hi helpful rehta hai  Jo bhe apni insulin release ko regular karna chahta hai wo isko regular istemal kare.

    8 skin health ke liye acha ha


    Injeer hamari skin se inflammation or redness ko kam karta ha iske regular istemal se ache bhe kam hi jati hai aur skin ko healthy rakhne mein madad karte ha apki liye yeh zarori ha isko regular istemal karn.

    9 Dil ke sehat behtarin ha


    Injeer mein phenolic antioxidants milta hai jo insan ki dil liye bohat hi zarori hai agar aap rozana injeer ke 4 ya 5 dani istemal karte to apko heart attack ka khatra kam ya khtm ho jaega.

    10 aankhon ki hifazat karti hai

    Injeer ka baqaidah  istemal karni se aankhon ki hifazat hoti ha agar kyon ki is me bahut sari aise vitamins paye jate hain jo aankhon ki hifazat karti hen.

    11 khoon ke kami dor karta ha


    Agr apko khoon ki kami yani ke anemia hai tu rozana injeer ki 4 dani aur uske sath kishmish ke 10 ya 12 dani subha savere nihar mon istemal karn to apki ye takleef bhe dor ho jaye gi aur kuch hi dinon ki ander aap ki body main bahut khoon ban jayega aur aap anemia se chutkara pa lenege 

    12 purani se purani qabz ki shikayat dur karta ha


    Agar aap ko qabz ki shikayat rehti hai to aap rozana injeer ka istemal shro kr dain iske kuch hi dinon ke istemal se InshAllah apki yeh taklef dur ho jaye gi.

    13 body building main help karta ha 


    Injeer main bohat zyada miqdar main protein paye jati hai agr aap body building Ka shok rakhte  hain to apki injeer rozana istamal karna chahiye kiyun ki iske 4 dano main pori din ki protein milte hai aur aap apni protein ki zaroorat is se asani pori kr sakte hain

    Injeer ke istemal ka tarika


    Injeer ka istemal karni ka bohat hi zyada tarika hin Jaise ke kuch log isko khusk istemal karti hen aur kuch pani mn bhego kr par sabh behtarin tarika isko istemal karna ka yeh ha ke iski 3 ya 4 adad raat ko pani ya doodh mein bhugo kar subah savere nihar mon kha lejiye iske bad aap nashta kar sakte hen yeh behtarin tarika ha iske bad aap sara din khud ko healthy mehsoos karn gi.


    Injeer ke side effects


    Waise to injeer ke bohat ziyadah fawaid hen par iske ziyadah istemal se apko pait ki takleef bhi sakte ha agr iske istemal karni ki foran bad hi peet ki takleef hoti ha to isko istamal karna chor dain kiyon ki apko is se allergic reaction ho sakte ha 

    To dost yeh thi injeer ke fawaid umeed karta hoon ki aapko yeh Mera article pasand aya hoga agar aap kuch puchna chahte han ya apni Rae dena chahte hen niche comments section mein zaroor bataye ga tab tak ki liye khayal rakhen kuch rahin acha khaen khuda hafiz

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *